Best Hindi Ghazal


Basti Basti Khor Udasi



Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,

man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chanan,

is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab hai,
ek to tera bhola pan ek mera dewana pan
main uska hoon vo is ehsaas se inkar karta hai,

bhari mahefil me bhi ruswa mujhe har bar karta hai,

jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,

jo tumko b pyaara hai jo humko pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kehti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai,
bahot bikhara bahot toota thapde sah nahi paaya,
hawaon k isharon par magar mei bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi reh gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi mein keh nahi paaya.......!!!!!!