Basti basti khor udasi
parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya
ghis ghisri ka tan chanan,
is
dharti se us ambar tak do hi chiz gajab hai,
ek
to tera bhola pan ek mera dewana pan
main
uska hoon vo is ehsaas se inkar karta hai,
bhari
mahefil me bhi ruswa mujhe har bar karta hai,
jiski
dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko b pyaara hai jo
humko pyaara hai,
jhoom
rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab
kehti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai,
bahot bikhara bahot toota
thapde sah nahi paaya,
hawaon k isharon par magar
mei bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi reh gaya
ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi
kabhi mein keh nahi paaya.......!!!!!!